quotes

LAA ILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOL ALLAH THERE IS NO GOD BUT ALLAH,MUHAMMAD IS HIS BELOVED PROPHET .

Sunday, 27 March 2016

Sitaron ki gardish wa nahoosat


Jab har kam ban kar bigad jata ho har koshish nakam hoti ho 
aur koi bhi hal na samjh may aata ho to is amal ko karna chahye
no.1; 250 gram besan lein aur us ko aatay ki tarah sakhat gondh lein
aur 5 gram, mix color ke sitare ,
sitare wo jo khawateen apne libas may khoobsurti ke liye lagati hain
un sitaron ko besan my goondh lein achi tarah mix Karein 

ab us besan ku chane k size ki choti choti goli bana le
ye kam ap jumma(Friday) ko karein aur un goliyon ko saaye me khushk karein
aur raat ko paak halat mein ba wazu hokar 1100 bar un goliyon par ayat e kareema
la ilaha illa anta subhanaka inni kuntum minaz zalimeen
padhein aur dam karen
hafte(Saturday) ko kisi bhi ghar k fard se un goliyon ko apne oopar se 7 bar utar walen
aur un goliyon ku kisi bhi aise pani mein jahan machli ho darya ya samandar mein apne haat se thoda thoda kar ke daal dein aur ghar ajayein
3 Week is amal ko karen in sha ALLAH ap ki har qisam ki gardish khatam ho jaye gi .
 


Apni dua may yad rakhen

4 comments: